Friday, 5 May 2017

Asal Me Pyar Kya Hai – Jane Pyar Ka Matlb

Hello friend kese ho, aap logo ka fir se swagat hai humare blog par aur aaj hum love ke bare me baat karne ja rahe hai ki, “Pyar Kya Hai”. Agar hum aapse puche ki “pyar kya hai?” to aap 2 minute ke liye soch me pad jayoge ki, “Ha Yar Asal Me Pyar Hai Kya”. Dosto pyar ko aap likh kar nahi bata sakte aur na hi aap sabdo me baya kar sakte ho. Dosto pyar ko feel kiya ja sakta hai, na ki bataya ja sakta hai. Pyar ek esa ahsaas hai jo 2 logo ko aapas me jodta hai aur puri duniya se alag karta hai. Aapko pyar easily kisi se bhi ho jata hai but ek baari aap pyar me padh gaye to bahar nikal pana bahut mushkil ho jata hai. Jo insaan pyar me padh gaya uske liye jindagi ke sabhi dukh, sukh, ristedaar, dost, needs ek taraf aur pyar ek taraf hai. Agar pyar ki baat kare to dosto pyar bahut alag alag types ke hote hai jese ki :- dosto ke sath pyar, apne aapse pyar, family se pyar etc etc. To ese me pyar ko bata pana muskil hai. Niche humne ese ki bahut sare baate bataye hai jiske bare me aapko pata hona chahiye. So, please check out below……………………………………………………….

1. Khud Se Pyar

Dosto life me kissi se bhi pyar karne se pahle khud se pyar karna jaroor sikhe tabhi aap dusro ko pyar kar paoge aur unhe samjhoge. Ek insaan ke liye khud se pyar karna bahut jaroori hai. Khud se pyar karna bahut aasan hai doston, jab aap kuch acha kaam kare to khud ko reward de, apne aap ko sundar banaye, smart dikhe, smile karte rahe, acha kaam kare, parents ki sune, old men and women ki respect kare, apne aap ko achi habit me daale. Jab aap khud ka ache se dhayan rakh payenge to samjh le doston aapko khud se pyar hai. Jab aap apne aap ko hurt karenge, drink, smoke, alcohol ka use karenge, apni care nahi karenge to aapko apne aap se pyar nahi to dusro ki kya care karenge. So khud se pyar karna bahut important hai.

2. Feelings Vala Pyar

Feelings vala pyar bahut ajeeb hota hai. Jese kisi ko first time dekh ke hi alag si feelings aane lagti hai. Ya rod pe pade ek kutte ke bache ko akela dekh ke bhi hum insaano ko feelings aane lagti hai. Mandir me jaate hai to alag feelings aati hai, koi tournament khelne jaate hai to alag feeling aati hai. So dosto humne to sirf kuch example ke through feelings ko express kiya hai but isse jyada to hum ek din me ese 100 feelings ko feel kar lete hai jo hume pta hi nahi hoti hai. Is feelings ke chakar me to hume kahi na kahi pyar bhi hota hai. To koi esa bhi hote hai jinhe har kissi ke liye pyar me feelings aati hai na ki sirf ek liye. So dosto hum sirf ye kehna chahte hai ki hum insaano ke paas feelings ke bhandar pade hue hai jo time to time nikalte rahte hai.

3. Sacha Pyar

Sacha pyar bahut hi tagda point hai is article me. Sacha pyar ke time pe aapko kisi bhi cheez ki sudh budh nahi rahti hai. Doston  sacha pyar kab ho jaye aap imagine nahi kar sakte ho but life ke ek point me aap sochne me majboor ho jaoge ki us ladka ya ladki ke bina me kuch bhi nahi. Jo aapki kamio ko pura kar aapko pura banata hai vo sacha pyar hota hai. Or doston humara yakin maane sacha pyar bahut kam logo ko nasib hota hai or kayi log to ese hote hai jinhe aasani se sacha pyar mil jata hai but vo uski kadar nahi kar paate hai. So apne sache pyar ko pehchane ke liye apni aankhe or dil or dimag teeno ko khula rakhe taki jab vo person aapki life me entry mare or aapko ehsaas dilye ki yes “u r my true love”.

. Attraction Vala Pyar

Attraction pahle hota hai or pyar baad me hota hai. Ab doston aapke samne koi attractive person khada ho jaye to aapka attractive hona to lazmi hai. Attraction body se related kissi bhi part ko dekh ke ho sakti hai jisse hum attraction vala pyar keh sakte hai. To kisi ki baato se attraction ya phir kissi ki sirf smile se attraction vala pyar bhi ho sakta hai. So isme hum keh sakte hai ki attraction vala pyar bhi hum insaano ko kayi baar or har baar ho sakta hai. Kyuki bhagwan ki sabse achi rachna hum insaan hi hai to attractive hona to lazmi hai.

5. Dosto Se Pyar

Doston vala pyar to bahut hi khobsurat hota hai. Ab kuch log soch rahe honge ki kaise? To hum aapko btana chahte hai ki jiske paas dost hai vo bahut hi lucky hai or jinke paas dost nahi hai vo Unlucky. Kyuki dost ke hone se life puri hoti hai. Dost ki defination ye hai ki aapka dukh sukh me sathi, aapke liye kuch bhi kar jana, har situation me aapke sath khade rahna. Dost ese hote hai jo aapke liye kaam ko pahle karte hai or sochte baad me hai. Isliye dosti vala pyar bahut khoobsurat hota hai.

6. Family Se Pyar

Family sabke paas hoti hai but jinke paas nahi hoti unhe shayad family word ka matlab jyada pta hota hai. Family vala pyar me aap ye samjh le ki unke liye dua nikalti hai, ek taraf humare parents jo hume badha karte hai, pyar dete hai, humari care karte hai. To dusri taraf humare brother-sister jo humare adhure kaam ko pura karne me lage rahte hai, humse ladte hai, humari chugli parents ko kabhi kabhi kar dete hai. Family bas yahi par hi nahi khatam hoti. Ek insaan ke liye family bahut badi hoti hai. So doston apni family ke paas rahiye unhe pyar dijiye. Kyuki kahi na kahi ek family aap se bhi puri hoti hai.

7. Kaam Se Pyar

Doston jis kam ko aap karne me lage hue hai or usi kaam se aapko pyar hi na ho to kaam karne ka kya fayada. Humara kehne ka matlab ye hai ki agar ek judo player apni game ko hi pasand na karta ho usse pyar na karta ho to uske game karne ka kya matlab ese to vo kabhi apni game me achievement hasil hi nahi kar payenge. Ek alag example agar ek businessman ko apne business me hi interest nahi hota pyar nahi hota to uske businessman banane ka kya fayde. So doston hum ye kehna chahte hai ki kaam se pyar bahut jaroori hai. Jab aapko apne kaam se pyar hota hai to aap apne target ko achieve kar paate hai jisse aapko khushi milti hai or aapko apne kaam se or pyar hone lagta hai.
To dosto ab aap samajh gaye hone pyar ki paribhasha. Hume umeed hai ki aapko is article se bahut kuch sikhne ko mil hoga aur agar humse kuch miss ho gaya ho to hume comment karke bataye. Thanks and take care all of you.

No comments:

Post a Comment

LOVELY LOGICS